NIYAZ – Wuzu Karne Ke Baad.. Jis Chiz Par Niyaz Deni Ho (Yani Khane Ki Chiz,Pani Wagera) Usko Qibla Rukh Rakhen Aur Khud Bhi Qibla Rukh Hojay. Uske Baad –
- Sabse Pehle 3 Baar Durood Parhain
- Phir 1 Baar Surah Al Hamd
- Phir 3 Baar Surah Ikhlas Parhain
- Phir 3 Baar Durood Parhain
Phir Kehna Hai Jo Kuch Maine Parha Hai Wo Aima e Masoomeen (a.s) Ki Khidmat Ba Barkat Mein Hadiyatan Nazar Ho.. Agar Sirf Aik Imam Ki Nazar Deni Ho To Unka Naam Len.. Aise Kehna Hai – Jo Kuch Maine Parha Hai Wo Imam Ali (a.s) Ki Khidmat Ba Barkat Mein Hadiyatan Nazar Ho..
FATIHA AAM MARHOOMEEN – Wuzu Karne Ke Baad.. Jis Chiz Par Fatiha Deni Ho (Yaani Khane Ki Chiz, Pani Wagerah) Usko Qibla Rukh Rakhen Aur Khud Bhi Qibla Rukh Hojay..Phir-
- Sabse Pehle 3 Baar Durood Parhain
- Phir 1 Baar Surah AlHamd
- Phir 3 Baar Surah Ikhlas
- Phir 3 Baar Durood Parhain
Phir Kehna Hai In Surato’n Ka Sawab Aima e Masoomeen (a) Ki Khidmat Mein Hadiya Hokar Jo Unse Sawab Mile Wo (Marhoom/Marhooma Ka Naam binte/ibne) Ki Rooh Ko Pohche..
NOTE – Nazar Ya Fatiha Dete Waqt Hath Aise Buland Karne Hain Jaise Dua Mangte Waqt Karte Hain..
DUROOD – ALLAH HUMMA SALLI ALA MUHAMMADIN WA AAL-E- MUHAMMAD (saw)
ٱللَّٰهُمَّ صَلِّ عَلَىٰ مُحَمَّدٍ وَعَلَىٰ آلِ مُحَمَّدٍ
SURAH IKHLAS –
- 1) BISMILLAHIR RAHMAANIR RAHEEM
- 2) QUL HUWAL LAAHU AHAD
- 3) ALLAH HUS-SAMAD
- 4) LAM YALID WA LAM YOOLAD
- 5) WA LAM YAKUL-LAHU KUFUWAN AHAD
- بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
- قُلۡ هُوَ ٱللَّهُ أَحَدٌ
- ٱللَّهُ ٱلصَّمَدُ
- لَمۡ يَلِدۡ وَلَمۡ يُولَدۡ
- وَلَمۡ يَكُن لَّهُۥ كُفُوًا أَحَدُۢ
SURAH AL HAMD –
- 1) BISMILLAHIR RAHMAANIR RAHEEM
- 2) ALHAMDU LILLAAHI RABBIL ‘AALAMEEN
- 3) AR-RAHMAANIR-RAHEEM
- 4) MAALIKI YAWMID-DEEN
- 5) IYYAAKA NA’BUDU WA IYYAKA NASTA’EEN
- 6) IHDINAS-SIRAATAL-MUSTAQEEM
- 7) SIRAATAL-LAZEENA AN’AMTA ‘ALAIHIM GHAYRIL-MAGHDOOBI ‘ALAIHIM WA LAD-DAAALLEEN
- بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ
- الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- مَالِكِ يَوْمِ الدِّينِ
- إِيَّاكَ نَعْبُدُ وَإِيَّاكَ نَسْتَعِينُ
- اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ
- صِرَاطَ الَّذِينَ أَنْعَمْتَ عَلَيْهِمْ غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا الضَّالِّينَ